Download as pptx, pdf, or txt
Download as pptx, pdf, or txt
You are on page 1of 10

Tattoo Designs for Men: Jane

Vibhinna Prakar aur Uske


Mahatv

HRELATE.COM

Aaj ke yug mai logo mai tattoo ko lekar lokpriyta badhti ja rahi hai. Har umra
ke logo mai tattoo ke prati ruchi badhti ja rahi hai, chahe wo ladka ho ya
ladki. Tattoo banwane ke bahut se karan hote hai. Bahut se log apne matapita ya partner ko dedicate karne ke liye tattoo banwate hai, to kuch log
shaukiya taur par tattoo banwate hai.
Wahi kuch log khud ki alag pehchan banane ke liye tattoo design banwate
hai, kuch log kisi vishesh vyakti ya koi aadarsh vyakti se inspire hokar unki
yad mai tattoo banwate hai, wahi kuch log apni ruchi (jaise ki sangeet se
lagav, prakrati, pashu-pakshio ke pyar aadi) ke anusar tattoo design banwate
hai.
Yahi nahi, log apni pasand aur suvidha ke aadhar par apne sharir mai kisi bhi
ang par tattoo banwane lage hai. Tattoo design karna ek kala hai. Ise jitna
bakhoobi ke sath design kiya jaye, utna hi achha tattoo ubhar ke aata hai.
Ladke bhale hi apne dressing sense ko lekar choosy naa ho lekin tattoo ko
lekar bahut choosy hote hai. Aajkal ladke aur purush aese tattoo design
karwana pasand karte hai, jo baki sab se alag hat ke ho. Agar aap bhi tattoo
design karwana chahte hai, to aapko jyada search karne ki jarurat nahi, hum
aapko bata rahe haiTattoo Designs for Menjo abhi prachalan mai hai.
hrelate.com

Tattoo Designs for Men Purusho Ke


Liye Latest Ideas

hrelate.com

Tribal Tattoos for Men

Tribal tattoos ko design karne ke liye kali syahi (ink) ka istemaal kiya jata hai. Iska
ek accha fayda yeh hota hai ki black ink se bana tattoo ka rang dusre rang ki
tulna mai jaldi fika nahi padta hai. Kuch tribal tattoos mai purane samay ke
aadivasio ki jeevan-shaili aur yuddha, ladhai aadi ko bhi darshaya jata hai. Tribal
tattoo bahut hi sahsi aur bold tarike ke chhavi ko darshata hai. Isd tattoo ki moti,
kali, ghumavdar lines aur iske interlocking patterns jyadatar vyakti ke upari arm
hrelate.com
(Upper-arm)
mai achhe lagte hai.

Angel Tattoo

Angel tattoo ek bahut hi prachalit tattoo design hai. Yeh design banwane se bahut
hi stunning look dikhta hai aur yeh design bhakti, shakti, pavitrata aur divyata ko
pradarshit karti hai. Kuch lokpriya angel tattoo mai angel wing tattoos, cherubs,
archangels aur guardian angels aadi shamil hai. Angel Tattoo ko dharmikta
(religious-icon) ka hi pratik bhi mana jata hai. Inn tattoos mai moksh aur devdoot
ke sath prem ki chhavi aadi ko bhi chitrit kiya jat ahai. Angels ko bhagwan ka ek
manav-roop pankh wala doot mana jata hai, jiska yahudi, muslim aur christian
aadi
dharmo mai ullekh milta hai.
hrelate.com

3D Tattoos

3D Tattoossadharan tattoos se bahut hi alag hote hai. Jaha sadharan tattoos


twacha par kuch drawing ki tarah dikhte hai, wahi 3D tattoos ek chavi ya
rachna ki tarah dikhte hai, mano ki yeh chhavi aapki twacha ke uper virajit ho.
3D tattoos ko iss tarah design kiya jata hai ki uske aamne, samne, aag picche,
dono sides sab nazar aaye. Ise hi 3D effect kahte hai aur iske liye vibhinn tarah
ke rango aur lights ka istemal kiya jata hai. Ise banate samay dimensions ka
dhyan rakhte hue alag alag rang ka upyog kiya jata hai, kyunki bina iske 3D
tattoo
adhura hota hai. 3D design ko jitna bakhoobi design kiya jata hai, logo ki
hrelate.com
nazar mai wah utna ki asali pratit hota hai.

Arm Sleeve Tattoo

Aamtour par Arm Sleeve Tattoo ek bade design ya chhoti-chhoti designs ka


samuh hota hai, jise vyakti ki arm par design karke pura cover kar diya jata hai.
Ek bahut hi gambhir aur stylish tattoo ko kandhe (shoulder) ki asteen se
banana shuru kiya jata hai, jo ki niche pure haath tak jari rakhte hue puri
bhujao tak design kiya jata hai.Tattoo Ideas for Menki agar baat kare to yeh
tattoo design ladko me bahut prachlit ho rahi hai. Lekin iss tattoo ko banwane
hrelate.com
se
puri arm cover ho jati hai, isliye ise banwane se pehle acche se soch-vichar

Om Tattoo

Omek sanskrit shabd hai, jo ki ek tarah se bramhand ki sabse mahatvpurn


dwani ko uchharit karta hai. Yeh ek sabse adhik bola jane wala shabd hai, jo ki
pavitrata ka pratinidhitv karta hai. Om ka Rig-Veda mai bhi ullekh milta hai.
Isliye jo bhi vyakti adhyatmikta mai vishwas aur ruchi rakhta ho, use hi Om ka
tattoo banwana chahiye. Kayi bar log is tattoo ko apni thigh ya pairo me niche
tarak banwa lete hai, aisa karne par adhyatm se jude log ise apmanjanak
mante hai. Isliye dhyan rakhe, agar aap bhi Om kaTattoo design karwana
chahte
hai to Om shabd ka samman rakhte hue use kamar ke upar, apne
hrelate.com
hath, gardan aadi par hi banwaye.

Skull Tattoo
Skull ko ek anokhe aur manav ki mritu- visheh ke roop mai jana jata hai. Magar
Skull-tattoos har bar kisi ki mritu ya vinash ko nahi darshate hai, balki ise ek
sakaratmak roop se bhi pradarshit kiya jata hai, jo ki yeh chhavi dikhata hai ki
jeevan ek hi bar milta hai, iska jitna acche se aanand liya jaye utna achha hai,
warna ant to nishchit hai.
Iss tarah ka tattoo wo log jyada banwate hai, jinhone kisi apne parivar ke
sadsya ya achhe dost ko kho diya ho ya fir aise log banwate hai jo ki iske
sandesh ko samajhte hai ki jeevan bahut hi chhota hai. Iske alawa aksar log
parties ya Halloween events mai jane ke liye bhi skull-tattoo ko apne sharir mai
design karwate hai.

hrelate.com

Upar aapne janaTattoo Designs for Men. Agar aap bhi apne sharir mai tattoo
design karwana chahte hai, to apni ruchi aur iccha ke aadhar par hi
manpasandida tattoo banwaye.

hrelate.com

You might also like